dilbar se dard-e-dil na kahoon haaye kab talak
khaamosh us ke gham mein rahoon haaye kab talak
us shokh se juda main rahoon haaye kab talak
ye zulm ye sitam main sahoon haaye kab talak
rehta hai roz hijr mein zalim ke gham mujhe
is dukh se dekhiye ki chutoon haaye kab talak
aayi bahaar jaaie sehra mein shehar chhod
muj ko junoon hai ghar mein rahoon haaye kab talak
zalim ko tuk bhi rehm mere haal par nahin
taabaan main us ke jor sahoon haaye kab talak
दिलबर से दर्द-ए-दिल न कहूँ हाए कब तलक
ख़ामोश उस के ग़म में रहूँ हाए कब तलक
उस शोख़ से जुदा मैं रहूँ हाए कब तलक
ये ज़ुल्म ये सितम मैं सहूँ हाए कब तलक
रहता है रोज़ हिज्र में ज़ालिम के ग़म मुझे
इस दुख से देखिए कि छुटूँ हाए कब तलक
आई बहार जाइए सहरा में शहर छोड़
मुज को जुनूँ है घर में रहूँ हाए कब तलक
ज़ालिम को टुक भी रहम मिरे हाल पर नहीं
'ताबाँ' मैं उस के जौर सहूँ हाए कब तलक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Shahr Shayari Shayari