hai aarzoo ye jee mein us ki gali mein jaaven | है आरज़ू ये जी में उस की गली में जावें

  - Taban Abdul Hai

hai aarzoo ye jee mein us ki gali mein jaaven
aur khaak apne sar par man maanti udaaven

shor-e-junoon hai ham ko aur fasl-e-gul bhi aayi
ab chaak kar garebaan kyunkar na ban mein jaaven

be-dard log sab hain hamdard ek bhi nahin
yaaro ham apne dukh ko ja kis ke tai sunaaven

ye aarzoo hamaari muddat se hai ki ja kar
qaateel ki teg ke tai apna lahu chataaven

khazalat se khun mein doobe ya aag se lage uth
lala ke tai chaman mein gar daag-e-dil dikhaaven

be-ikhtiyaar sun kar mehfil mein sham'a ro de
ham baat soz-e-dil ki gar tuk zabaan pe laaven

yahan yaar aur bardaar koi nahin kisi ka
duniya ke beech taabaan ham kis se dil lagaavein

है आरज़ू ये जी में उस की गली में जावें
और ख़ाक अपने सर पर मन मानती उड़ावें

शोर-ए-जुनूँ है हम को और फ़स्ल-ए-गुल भी आई
अब चाक कर गरेबाँ क्यूँकर न बन में जावें

बे-दर्द लोग सब हैं हमदर्द एक भी नहीं
यारो हम अपने दुख को जा किस के तईं सुनावें

ये आरज़ू हमारी मुद्दत से है कि जा कर
क़ातिल की तेग़ के तईं अपना लहू चटावें

ख़जलत से ख़ूँ में डूबे या आग से लगे उठ
लाला के तईं चमन में गर दाग़-ए-दिल दिखावें

बे-इख़्तियार सुन कर महफ़िल में शम्अ रो दे
हम बात सोज़-ए-दिल की गर टुक ज़बाँ पे लावें

यहाँ यार और बरदार कोई नहीं किसी का
दुनिया के बीच 'ताबाँ' हम किस से दिल लगावें

  - Taban Abdul Hai

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari