ladka jo khoob-roo hai so mujh se bacha nahin
vo kaun hai ki jis se main yaaro mila nahin
ai bulbulo chaman mein na jaao gai bahaar
gulshan mein khaar-o-khas ke siva kuchh raha nahin
hai kya sabab ki yaar na aaya khabar ke tai
shaayad kisi ne haal hamaara kaha nahin
aata nahin vo yaar-e-sitmgar to kya hua
koi gham to us ka dil se hamaare juda nahin
taarif us ke qad ki karein kis tarah se ham
taabaan hamaari fikr to aisi rasaa nahin
लड़का जो ख़ूब-रू है सो मुझ से बचा नहीं
वो कौन है कि जिस से मैं यारो मिला नहीं
ऐ बुलबुलो चमन में न जाओ गई बहार
गुलशन में ख़ार-ओ-ख़स के सिवा कुछ रहा नहीं
है क्या सबब कि यार न आया ख़बर के तईं
शायद किसी ने हाल हमारा कहा नहीं
आता नहीं वो यार-ए-सितमगर तो क्या हुआ
कोई ग़म तो उस का दिल से हमारे जुदा नहीं
तारीफ़ उस के क़द की करें किस तरह से हम
'ताबाँ' हमारी फ़िक्र तो ऐसी रसा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Udas Shayari Shayari