dekh us ko khwaab mein jab aankh khul jaati hai subh
kya kahoon main kya qayamat mujh pe tab laati hai subh
sham'a jab majlis se mehrhooon ki leti hai utha
kya kahoon kya kya sunen us waqt dikhlaati hai subh
jis ka gora rang ho vo raat ko khilta hai khoob
roshnai sham'a ki feeki nazar aati hai subh
paas tu sota hai chanchal par gale lagta nahin
minnaten karte hi saari raat ho jaati hai subh
neend se uthata hai taabaan jab mera khursheed-roo
dekh us ke munh ke tai sharmaa ke chhup jaati hai subh
देख उस को ख़्वाब में जब आँख खुल जाती है सुब्ह
क्या कहूँ मैं क्या क़यामत मुझ पे तब लाती है सुब्ह
शम्अ जब मज्लिस से महरुओं की लेती है उठा
क्या कहूँ क्या क्या सुनें उस वक़्त दिखलाती है सुब्ह
जिस का गोरा रंग हो वो रात को खिलता है ख़ूब
रौशनाई शम्अ की फीकी नज़र आती है सुब्ह
पास तू सोता है चंचल पर गले लगता नहीं
मिन्नतें करते ही सारी रात हो जाती है सुब्ह
नींद से उठता है 'ताबाँ' जब मिरा ख़ुर्शीद-रू
देख उस के मुँह के तईं शरमा के छुप जाती है सुब्ह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Raaz Shayari Shayari