hue hain ja ke aashiq ab to ham us shokh chanchal ke | हुए हैं जा के आशिक़ अब तो हम उस शोख़ चंचल के

  - Taban Abdul Hai

hue hain ja ke aashiq ab to ham us shokh chanchal ke
sitamgar be-muravvat be-wafa be-rehm achpal ke

ghazaalon ko tiri aankhen se kuchh nisbat nahin hargiz
ki ye aahu hain shahri aur ve wahshi hain jungle ke

giriftaari hui hai dil ko mere be-tarah is se
ki aaye pech mein kahte hi un ki zulf ke bal ke

ye daulat-mand agar shab ko nahin yaaro to phir kya hai
ki hain ye chaandni raaton ko bhi muhtaaj mish'aal ke

tumhaare dard-e-sar se sandali-rango agar jee doon
tu chhaape qabr par dena meri tum aa ke sandal ke

koi is ko kahe hai daam kui zanjeer kui sumbul
hazaaron naam hain kaafir tiri zulf-e-musalsal ke

biyaabaan ban hamein ulfat nahin hai shehar se hargiz
tarah majnoon ke taabaan ham to deewane hain jungle ke

हुए हैं जा के आशिक़ अब तो हम उस शोख़ चंचल के
सितमगर बे-मुरव्वत बे-वफ़ा बे-रहम अचपल के

ग़ज़ालों को तिरी आँखें से कुछ निस्बत नहीं हरगिज़
कि ये आहू हैं शहरी और वे वहशी हैं जंगल के

गिरफ़्तारी हुई है दिल को मेरे बे-तरह इस से
कि आए पेच में कहते ही उन की ज़ुल्फ़ के बल के

ये दौलत-मंद अगर शब को नहीं यारो तो फिर क्या है
कि हैं ये चाँदनी रातों को भी मुहताज मिशअल के

तुम्हारे दर्द-ए-सर से संदली-रंगो अगर जी दूँ
तू छापे क़ब्र पर देना मिरी तुम आ के संदल के

कोई इस को कहे है दाम कुइ ज़ंजीर कुइ सुम्बुल
हज़ारों नाम हैं काफ़िर तिरी ज़ुल्फ़-ए-मुसलसल के

बयाबाँ बन हमें उल्फ़त नहीं है शहर से हरगिज़
तरह मजनूँ के 'ताबाँ' हम तो दीवाने हैं जंगल के

  - Taban Abdul Hai

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari