roya na hoon jahaan mein garebaan ko apne faad
aisa na koi dasht hai zalim na kui ujaad
aata hai mohtasib p-e-taazeer may-kasho
pagdi ko us ki fenk do daadhi ko lo ukhaad
saabit tha jab talak ye garebaan khafa tha main
karte hi chaak khul gaye chaati ke sab kiwaad
mere ghubaar ne to tire dil mein ki hai ja
go meri musht-e-khaak se daaman ki tai tu jhaad
taabaan zi-bas hawaa-e-junoon sar mein hai mere
ab main hoon aur dasht hai ye sar hai aur pahaad
रोया न हूँ जहाँ में गरेबाँ को अपने फाड़
ऐसा न कोई दश्त है ज़ालिम न कुइ उजाड़
आता है मोहतसिब प-ए-ताज़ीर मय-कशो
पगड़ी को उस की फेंक दो दाढ़ी को लो उखाड़
साबित था जब तलक ये गरेबाँ ख़फ़ा था मैं
करते ही चाक खुल गए छाती के सब किवाड़
मेरे ग़ुबार ने तो तिरे दिल में की है जा
गो मेरी मुश्त-ए-ख़ाक से दामन की तईं तू झाड़
'ताबाँ' ज़ि-बस हवा-ए-जुनूँ सर में है मिरे
अब मैं हूँ और दश्त है ये सर है और पहाड़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Gussa Shayari Shayari