gair ke haath mein us shokh ka daamaan hai aaj
main hoon aur haath mera aur ye garebaan hai aaj
latpati chaal khule baal khumaari ankhiyaan
main tasadduq hoon meri jaan ye kya aan hai aaj
kab talak rahiye tire hijr mein paaband-e-libaas
kijie tark-e-taalluq hi ye armaan hai aaj
aaine ko tiri soorat se na ho kyun kar hairat
dar o deewaar tujhe dekh ke hairaan hai aaj
aashiyaan baagh mein aabaad tha kal bulbul ka
haaye taabaan ye sabab kya hai ki veeraan hai aaj
ग़ैर के हाथ में उस शोख़ का दामान है आज
मैं हूँ और हाथ मिरा और ये गरेबान है आज
लटपटी चाल खुले बाल ख़ुमारी अँखियाँ
मैं तसद्दुक़ हूँ मिरी जान ये क्या आन है आज
कब तलक रहिए तिरे हिज्र में पाबंद-ए-लिबास
कीजिए तर्क-ए-तअल्लुक़ ही ये अरमान है आज
आइने को तिरी सूरत से न हो क्यूँ कर हैरत
दर ओ दीवार तुझे देख के हैरान है आज
आशियाँ बाग़ में आबाद था कल बुलबुल का
हाए 'ताबाँ' ये सबब क्या है कि वीरान है आज
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Dushman Shayari Shayari