tu bhali baat se hi meri khafa hota hai | तू भली बात से ही मेरी ख़फ़ा होता है

  - Taban Abdul Hai

tu bhali baat se hi meri khafa hota hai
aah kya chaahna aisa hi bura hota hai

tere abroo se mera dil na chhutega hargiz
gosht nakhun se bhala koi juda hota hai

main samajhta hoon tujhe khoob tarah ai ayyaar
tere is makr ke ikhlaas se kya hota hai

hai kaf-e-khaak meri bas-ki tab-e-ishq se garm
paanv waan jis ka pade aabla-pa hota hai

dil mera haath se jaata hai karoon kya tadbeer
yaar muddat ka mera haaye juda hota hai

raahbar manzil-e-maqsood ko darkaar nahin
shaauq-e-dil apna hi yaa raah-numa hota hai

gair harjaai mera yaar liye jaata hai
mujh pe taabaan ye sitam aaj bada hota hai

तू भली बात से ही मेरी ख़फ़ा होता है
आह क्या चाहना ऐसा ही बुरा होता है

तेरे अबरू से मिरा दिल न छुटेगा हरगिज़
गोश्त नाख़ुन से भला कोई जुदा होता है

मैं समझता हूँ तुझे ख़ूब तरह ऐ अय्यार
तेरे इस मक्र के इख़्लास से क्या होता है

है कफ़-ए-ख़ाक मिरी बस-कि तब-ए-इश्क़ से गर्म
पाँव वाँ जिस का पड़े आबला-पा होता है

दिल मिरा हाथ से जाता है करूँ क्या तदबीर
यार मुद्दत का मिरा हाए जुदा होता है

राहबर मंज़िल-ए-मक़्सूद को दरकार नहीं
शौक़-ए-दिल अपना ही याँ राह-नुमा होता है

ग़ैर हरजाई मिरा यार लिए जाता है
मुझ पे 'ताबाँ' ये सितम आज बड़ा होता है

  - Taban Abdul Hai

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari