teri makhmoor chashm ai may-nosh | तेरी मख़मूर चश्म ऐ मय-नोश

  - Taban Abdul Hai

teri makhmoor chashm ai may-nosh
jin ne dekhi so ho gaya khaamosh

kai faaqon mein eed aayi hai
aaj tu ho to jaan hum-aaghosh

apne tai sar pe haath jo na rakhe
us ke sar pe na maariye paa-posh

ishq mein main tire hua majnoon
kis ko hai aql aur kahaan hai hosh

paalki bhi mujhe khuda ne di
tu bhi taabaan raha main khaana-b-dosh

तेरी मख़मूर चश्म ऐ मय-नोश
जिन ने देखी सो हो गया ख़ामोश

कई फ़ाक़ों में ईद आई है
आज तू हो तो जान हम-आग़ोश

अपने तईं सर पे हाथ जो न रखे
उस के सर पे न मारिए पा-पोश

इश्क़ में मैं तिरे हुआ मजनूँ
किस को है अक़्ल और कहाँ है होश

पालकी भी मुझे ख़ुदा ने दी
तू भी 'ताबाँ' रहा मैं ख़ाना-ब-दोश

  - Taban Abdul Hai

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari