aarzoo hai main rakhoon tere qadam par gar jabeen | आरज़ू है मैं रखूँ तेरे क़दम पर गर जबीं

  - Taban Abdul Hai

aarzoo hai main rakhoon tere qadam par gar jabeen
tu uthaave naaz se zalim laga thokar jabeen

apne ghar mein to bahut patka p kuchh haasil nahin
ab ke jee mein hai tiri chaukhat pe rooun dhar jabeen

jaisi peshaani tiri hai ai mere khursheed-roo
chaand ki hai raushni mein us se kab behtar jabeen

shaikh aa jalwa khuda ka may-kade mein hai mere
kyun ragadta hai abas kaabe ke tu dar par jabeen

kya karoon tere qadam tak to nahin hai dastaras
naqsh-e-paa hi par tire malta hoon main akshar jabeen

shaikh gar shaitaan se soorat nahin milti tiri
bas bata daagi hui hai kis tarah yaksar jabeen

hai kisi ki bhi tiri se aundhi peshaani bhala
dekh tu ai shokh apni aaina le kar jabeen

aa ke jin haathon se malta tha tire talvon ke tai
peetata hoon ab unhin haathon se main akshar jabeen

bujh kar naqsh-e-qadam ko tere mehrab-e-dua
maangata hoon main muraad-e-dil ko rakh is par jabeen

chaand ka mukhda hai ya aaina ya musahaf ka lauh
ya tiri hai ai mere raskh-e-mah-o-akhtar jabeen

saaf dil taabaan muqaddar hi kabhu hota nahin
aaina ki haigi raushan dekh le yaksar jabeen

आरज़ू है मैं रखूँ तेरे क़दम पर गर जबीं
तू उठावे नाज़ से ज़ालिम लगा ठोकर जबीं

अपने घर में तो बहुत पटका प कुछ हासिल नहीं
अब के जी में है तिरी चौखट पे रोऊँ धर जबीं

जैसी पेशानी तिरी है ऐ मिरे ख़ुर्शीद-रू
चाँद की है रौशनी में उस से कब बेहतर जबीं

शैख़ आ जल्वा ख़ुदा का मय-कदे में है मिरे
क्यूँ रगड़ता है अबस काबे के तू दर पर जबीं

क्या करूँ तेरे क़दम तक तो नहीं है दस्तरस
नक़्श-ए-पा ही पर तिरे मलता हूँ मैं अक्सर जबीं

शैख़ गर शैतान से सूरत नहीं मिलती तिरी
बस बता दाग़ी हुई है किस तरह यकसर जबीं

है किसी की भी तिरी से औंधी पेशानी भला
देख तू ऐ शोख़ अपनी आइना ले कर जबीं

आ के जिन हाथों से मलता था तिरे तलवों के तईं
पीटता हूँ अब उन्हीं हाथों से मैं अक्सर जबीं

बूझ कर नक़्श-ए-क़दम को तेरे मेहराब-ए-दुआ
माँगता हूँ मैं मुराद-ए-दिल को रख इस पर जबीं

चाँद का मुखड़ा है या आईना या मुसहफ़ का लौह
या तिरी है ऐ मिरे रश्क-ए-मह-ओ-अख़्तर जबीं

साफ़ दिल 'ताबाँ' मुकद्दर ही कभू होता नहीं
आईना की हैगी रौशन देख ले यकसर जबीं

  - Taban Abdul Hai

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari