tumhaare hijr mein rehta hai ham ko gham miyaan-saahib
khuda jaane jiyeenge ya marengay ham miyaan-saahib
agar bosa na dena tha kaha hota nahin deta
tum itni baat se hote ho kya barham miyaan-saahib
khata kuchh ham ne ki ya gair hai shaayad tumhein maane
sabab kya hai ki tum aate ho ab kuchh kam miyaan-saahib
agar tu shohra-e-aafaq hai to tere bandon mein
hamein bhi jaanta hai khoob ik aalam miyaan-saahib
tumhaare ishq se taabaan hua hai shehar mein rusva
tum us ke haal se ab tak nahin mehram miyaan-saahib
तुम्हारे हिज्र में रहता है हम को ग़म मियाँ-साहिब
ख़ुदा जाने जिएँगे या मरेंगे हम मियाँ-साहिब
अगर बोसा न देना था कहा होता नहीं देता
तुम इतनी बात से होते हो क्या बरहम मियाँ-साहिब
ख़ता कुछ हम ने की या ग़ैर है शायद तुम्हें माने
सबब क्या है कि तुम आते हो अब कुछ कम मियाँ-साहिब
अगर तू शोहरा-ए-आफ़ाक़ है तो तेरे बंदों में
हमें भी जानता है ख़ूब इक आलम मियाँ-साहिब
तुम्हारे इश्क़ से 'ताबाँ' हुआ है शहर में रुस्वा
तुम उस के हाल से अब तक नहीं महरम मियाँ-साहिब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Khuda Shayari Shayari