mujhe aish o ishrat ki qudrat nahin hai | मुझे ऐश ओ इशरत की क़ुदरत नहीं है

  - Taban Abdul Hai

mujhe aish o ishrat ki qudrat nahin hai
karoon tark-e-duniya to himmat nahin hai

kabhi gham se mujh ko faraaghat nahin hai
kabhi aah o naale se furqat nahin hai

safoon ki safen aashiqon ki ult den
qayamat hai ye koi qamat nahin hai

barsta hai meh main tarasta hoon may ko
gazab hai ye baaraan-e-rahmat nahin hai

mere sar pe zalim na laaya ho jis ko
koi aisi duniya mein aafat nahin hai

hai milna mera fakhr aalam ko lekin
tire paas kuchh meri hurmat nahin hai

main gor-e-ghareeban pe ja kar jo dekha
b-juz naqsh-e-paa lauh-e-turbat nahin hai

buri hi tarah mujh se roothi hain mizgaan
unhen kuchh bhi chashm-e-muravvat nahin hai

tu karta hai iblees ke kaam zaahid
tire feel par kyoonke laanat nahin hai

main dil khol taabaan kahaan ja ke rooun
ki dono jahaan mein faraaghat nahin hai

मुझे ऐश ओ इशरत की क़ुदरत नहीं है
करूँ तर्क-ए-दुनिया तो हिम्मत नहीं है

कभी ग़म से मुझ को फ़राग़त नहीं है
कभी आह ओ नाले से फ़ुर्सत नहीं है

सफ़ों की सफ़ें आशिक़ों की उलट दें
क़यामत है ये कोई क़ामत नहीं है

बरसता है मेंह मैं तरसता हूँ मय को
ग़ज़ब है ये बारान-ए-रहमत नहीं है

मिरे सर पे ज़ालिम न लाया हो जिस को
कोई ऐसी दुनिया में आफ़त नहीं है

है मिलना मिरा फ़ख़्र आलम को लेकिन
तिरे पास कुछ मेरी हुरमत नहीं है

मैं गोर-ए-ग़रीबाँ पे जा कर जो देखा
ब-जुज़ नक़्श-ए-पा लौह-ए-तुर्बत नहीं है

बुरी ही तरह मुझ से रूठी हैं मिज़्गाँ
उन्हें कुछ भी चश्म-ए-मुरव्वत नहीं है

तू करता है इबलीस के काम ज़ाहिद
तिरे फ़ेल पर क्यूँके लानत नहीं है

मैं दिल खोल 'ताबाँ' कहाँ जा के रोऊँ
कि दोनों जहाँ में फ़राग़त नहीं है

  - Taban Abdul Hai

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari