kisi ka kaam dil is charkh se hua bhi hai
koi zamaane mein aaraam se raha bhi hai
kisi mein mehr-o-mohabbat kahi wafa bhi hai
koi kisi ka zamaane mein aashna bhi hai
koi falak ka sitam mujh se bach raha bhi hai
janaa naseeb koi mujh sa doosra bhi hai
bura na maanio main poochta hoon ai zalim
ki be-kason ke sataaye se kuchh bhala bhi hai
jo pukhta-maghz hain ve soz-e-dil nahin kahte
kisi ne sham'a se jalne mein kuchh suna bhi hai
tum is qadar jo nidar ho ke zulm karte ho
butaan hamaara tumhaara koi khuda bhi hai
tu qaatilon se lagata hai dil ko kyun taabaan
ki un ke haath se jeeta koi bacha bhi hai
किसी का काम दिल इस चर्ख़ से हुआ भी है
कोई ज़माने में आराम से रहा भी है
किसी में मेहर-ओ-मोहब्बत कहीं वफ़ा भी है
कोई किसी का ज़माने में आश्ना भी है
कोई फ़लक का सितम मुझ से बच रहा भी है
जना नसीब कोई मुझ सा दूसरा भी है
बुरा न मानियो मैं पूछता हूँ ऐ ज़ालिम
कि बे-कसों के सताए से कुछ भला भी है
जो पुख़्ता-मग़्ज़ हैं वे सोज़-ए-दिल नहीं कहते
किसी ने शम्अ से जलने में कुछ सुना भी है
तुम इस क़दर जो निडर हो के ज़ुल्म करते हो
बुताँ हमारा तुम्हारा कोई ख़ुदा भी है
तू क़ातिलों से लगाता है दिल को क्यूँ 'ताबाँ'
कि उन के हाथ से जीता कोई बचा भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Jeet Shayari Shayari