tum se ab kaamyaab aur hi hai
aah ham par azaab aur hi hai
us ko aaina kab pahunchta hai
husn ki aab-o-taab aur hi hai
rind waiz se kyun ki sarbar ho
us ki choo ki kitaab aur hi hai
hijr bhi kam nahin hai dozakh se
is safar ka azaab aur hi hai
us ko lagti hai kab koi talwaar
tegh-e-abroo ki aab aur hi hai
yun to hai surkh yaar ka chehra
par piye jab sharaab aur hi hai
mujh ko is neend se nahin aaraam
mujh ko raahat ka khwaab aur hi hai
bahs-e-ilmii se kab hain ye qaail
jaahilon ka jawaab aur hi hai
yaad mein teri zulf-o-kaakul ki
dil ke tai pech-o-taab aur hi hai
us sitamgar ka mujh pe har saaat
jaur-o-zulm-o-azaab aur hi hai
kis tarah se guhar kahoon taabaan
us ke dandaan mein aab aur hi hai
तुम से अब कामयाब और ही है
आह हम पर अज़ाब और ही है
उस को आईना कब पहुँचता है
हुस्न की आब-ओ-ताब और ही है
रिंद वाइज़ से क्यूँ कि सरबर हो
उस की छू, की किताब और ही है
हिज्र भी कम नहीं है दोज़ख़ से
इस सफ़र का अज़ाब और ही है
उस को लगती है कब कोई तलवार
तेग़-ए-अबरू की आब और ही है
यूँ तो है सुर्ख़ यार का चेहरा
पर पिए जब शराब और ही है
मुझ को इस नींद से नहीं आराम
मुझ को राहत का ख़्वाब और ही है
बहस-ए-इल्मी से कब हैं ये क़ाइल
जाहिलों का जवाब और ही है
याद में तेरी ज़ुल्फ़-ओ-काकुल की
दिल के तईं पेच-ओ-ताब और ही है
उस सितमगर का मुझ पे हर साअत
जौर-ओ-ज़ुल्म-ओ-अज़ाब और ही है
किस तरह से गुहर कहूँ 'ताबाँ'
उस के दंदाँ में आब और ही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Kitaaben Shayari Shayari