tu mil us se ho jis se dil tira khush
bala se teri main na-khush hoon ya khush
khushi teri jise har-dam ho darkaar
koi is se nahin hota hai na-khush
koi ab ke zamaane mein na hoga
ilaahi aashna se aashna khush
falak ke haath se ai khaaliq-e-khalq
kui nahin aa ke duniya mein raha khush
tira saaya ho jis par us ko hargiz
na aave saaya-e-baal-e-huma khush
qafas mein aah had eeza hai ham ko
na aati kaash gulshan ki hawa khush
agar laave tu boo us gul-badan ki
to hon tujh se nihaayat ai saba khush
kiya qatl un ne mujh ko gair se mil
hua dushman juda khush vo juda khush
naseehat ki thi un ne may-kashon ko
bahut maston ne zaahid ko kiya khush
moo-e-aatish mein jal parwaana o sham'a
mohabbat se main un ki had hua khush
kiya chaak ai junoon tira bhala ho
kabhu main is garebaan se na tha khush
gaya tha sair ko le saaqi o may
na aayi baagh ki aab-o-hawa khush
kiya qaateel ne bismil ko mere dekh
mujhe lagta hai is ka lotna khush
sune kyunkar vo labbaik-e-haram ko
jise naaqoos ki aaye sada khush
sataana be-dilon ke dil ko har-dam
tumhein ai dilbaro aata hai kya khush
sumood o qaaqum o sanjaab hai pashm
mujhe aata hai toota boriya khush
sanam ke paas se qaasid fira hai
khuda jaane ki main na-khush hoon ya khush
koi khush hove khooban ki wafa se
mujhe to un ki aati hai jafaa khush
na chhodunga kabhi main but-parasti
na ho go mujh se ai taabaan khuda khush
तू मिल उस से हो जिस से दिल तिरा ख़ुश
बला से तेरी मैं ना-ख़ुश हूँ या ख़ुश
ख़ुशी तेरी जिसे हर-दम हो दरकार
कोई इस से नहीं होता है ना-ख़ुश
कोई अब के ज़माने में न होगा
इलाही आश्ना से आश्ना ख़ुश
फ़लक के हाथ से ऐ ख़ालिक़-ए-ख़ल्क़
कुइ नहीं आ के दुनिया में रहा ख़ुश
तिरा साया हो जिस पर उस को हरगिज़
न आवे साया-ए-बाल-ए-हुमा ख़ुश
क़फ़स में आह हद ईज़ा है हम को
न आती काश गुलशन की हवा ख़ुश
अगर लावे तू बू उस गुल-बदन की
तो हों तुझ से निहायत ऐ सबा ख़ुश
किया क़त्ल उन ने मुझ को ग़ैर से मिल
हुआ दुश्मन जुदा ख़ुश वो जुदा ख़ुश
नसीहत की थी उन ने मय-कशों को
बहुत मस्तों ने ज़ाहिद को किया ख़ुश
मू-ए-आतिश में जल परवाना ओ शम्अ'
मोहब्बत से मैं उन की हद हुआ ख़ुश
किया चाक ऐ जुनूँ तिरा भला हो
कभू मैं इस गरेबाँ से न था ख़ुश
गया था सैर को ले साक़ी ओ मय
न आई बाग़ की आब-ओ-हवा ख़ुश
किया क़ातिल ने बिस्मिल को मिरे देख
मुझे लगता है इस का लोटना ख़ुश
सुने क्यूँकर वो लब्बैक-ए-हरम को
जिसे नाक़ूस की आए सदा ख़ुश
सताना बे-दिलों के दिल को हर-दम
तुम्हें ऐ दिलबरो आता है क्या ख़ुश
सुमूद ओ क़ाक़ुम ओ संजाब है पश्म
मुझे आता है टूटा बोरिया ख़ुश
सनम के पास से क़ासिद फिरा है
ख़ुदा जाने कि मैं ना-ख़ुश हूँ या ख़ुश
कोई ख़ुश होवे ख़ूबाँ की वफ़ा से
मुझे तो उन की आती है जफ़ा ख़ुश
न छोड़ूँगा कभी मैं बुत-परस्ती
न हो गो मुझ से ऐ 'ताबाँ' ख़ुदा ख़ुश
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Friendship Shayari Shayari