saaqi ho aur chaman ho meena ho aur ham hon | साक़ी हो और चमन हो मीना हो और हम हों

  - Taban Abdul Hai

saaqi ho aur chaman ho meena ho aur ham hon
baaraan ho aur hawa ho sabza ho aur ham hon

zaahid ho aur taqwa aabid ho aur musalla
maala ho aur brahman sahaba ho aur ham hon

majnoon hain ham hamein to is shehar se hai vehshat
shahri hon aur basti sehra ho aur ham hon

ya-rab koi mukhalif hove na gird mere
khilwat ho aur shab ho pyaara ho aur ham hon

deewaangi ka ham ko kya haz ho har taraf gar
ladke hon aur pathare balwa ho aur ham hon

auron ko aish-o-ishrat ai charkh-e-be-muravvat
gussa ho aur gham ho rona ho aur ham hon

eimaan o deen se taabaan kuchh kaam nahin hai ham ko
saaqi ho aur may ho duniya ho aur ham hon

साक़ी हो और चमन हो मीना हो और हम हों
बाराँ हो और हवा हो सब्ज़ा हो और हम हों

ज़ाहिद हो और तक़्वा आबिद हो और मुसल्ला
माला हो और बरहमन सहबा हो और हम हों

मजनूँ हैं हम हमें तो इस शहर से है वहशत
शहरी हों और बस्ती सहरा हो और हम हों

या-रब कोई मुख़ालिफ़ होवे न गिर्द मेरे
ख़ल्वत हो और शब हो प्यारा हो और हम हों

दीवानगी का हम को क्या हज़ हो हर तरफ़ गर
लड़के हों और पथरे बलवा हो और हम हों

औरों को ऐश-ओ-इशरत ऐ चर्ख़-ए-बे-मुरव्वत
ग़ुस्सा हो और ग़म हो रोना हो और हम हों

ईमान ओ दीं से 'ताबाँ' कुछ काम नहीं है हम को
साक़ी हो और मय हो दुनिया हो और हम हों

  - Taban Abdul Hai

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari