kisi gul mein nahin paane ki tu boo-e-wafa hargiz | किसी गुल में नहीं पाने की तू बू-ए-वफ़ा हरगिज़

  - Taban Abdul Hai

kisi gul mein nahin paane ki tu boo-e-wafa hargiz
abas apna dil ai bulbul chaman mein mat laga hargiz

tabeebon se ilaaj-e-ishq hota hai nipt mushkil
hamaare dard ki un se nahin hone ki dava hargiz

tajaa ghar ek aur saare biyaabaan ka hua waaris
koi majnoon sa ayyaaraa na hoga doosra hargiz

bahaar aayi hai kyunkar andaleeben baagh mein jaaven
qafas ke dar ke tai karta nahin sayyaad vaa hargiz

na the aashiq kisi be-daad par ham jab talak taabaan
hamaare dil ke tai kuchh dard-o-gham tab tak na tha hargiz

किसी गुल में नहीं पाने की तू बू-ए-वफ़ा हरगिज़
अबस अपना दिल ऐ बुलबुल चमन में मत लगा हरगिज़

तबीबों से इलाज-ए-इश्क़ होता है निपट मुश्किल
हमारे दर्द की उन से नहीं होने की दवा हरगिज़

तजा घर एक और सारे बयाबाँ का हुआ वारिस
कोई मजनूँ सा अय्यारा न होगा दूसरा हरगिज़

बहार आई है क्यूँकर अंदलीबें बाग़ में जावें
क़फ़स के दर के तईं करता नहीं सय्याद वा हरगिज़

न थे आशिक़ किसी बे-दाद पर हम जब तलक 'ताबाँ'
हमारे दिल के तईं कुछ दर्द-ओ-ग़म तब तक न था हरगिज़

  - Taban Abdul Hai

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taban Abdul Hai

As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai

Similar Writers

our suggestion based on Taban Abdul Hai

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari