jis roz dhoop nikli | जिस रोज़ धूप निकली

  - Tabassum Kashmiri

jis roz dhoop nikli
aur log apne apne
thande gharo se baahar
haathon mein dale
suraj ki samt nikle
us roz tum kahaan the

jis roz dhoop nikli
aur phool bhi khule the
the sabz baagh raushan
ashjaar khush hue the
patton ki sabz khushboo
jab sab gharo mein aayi
us roz tum kahaan the

jis roz aasmaan par
manzar chamak rahe the
suraj ki seedhiyon par
udte the dheron panchi
aur saaf ghaatiyon par
kuchh phool bhi khule the
us roz tum kahaan the

jis roz dhoop chamki
aur faakhta tumhaare
ghar ki chhato pe boli
phir mandiron mein aayein
khushboo bhari hawaaein
aur nanhe-munne bacche
tab aangaanon mein khele
us roz tum kahaan the

jis roz dhoop nikli
jis roz dhoop nikli
aur alagni pe dale
kuchh sookhne ko kapde
jab apne ghar ki chat pe
khaamosh main khada tha
tanhaa udaas belen
aur dopahar ke panchi
kuchh mujh se poochte the
us roz tum kahaan the

जिस रोज़ धूप निकली
और लोग अपने अपने
ठंडे घरों से बाहर
हाथों में डाले
सूरज की सम्त निकले
उस रोज़ तुम कहाँ थे

जिस रोज़ धूप निकली
और फूल भी खुले थे
थे सब्ज़ बाग़ रौशन
अश्जार ख़ुश हुए थे
पत्तों की सब्ज़ ख़ुशबू
जब सब घरों में आई
उस रोज़ तुम कहाँ थे

जिस रोज़ आसमाँ पर
मंज़र चमक रहे थे
सूरज की सीढ़ियों पर
उड़ते थे ढेरों पंछी
और साफ़ घाटियों पर
कुछ फूल भी खुले थे
उस रोज़ तुम कहाँ थे

जिस रोज़ धूप चमकी
और फ़ाख़्ता तुम्हारे
घर की छतों पे बोली
फिर मंदिरों में आईं
ख़ुशबू भरी हवाएँ
और नन्हे-मुन्ने बच्चे
तब आँगनों में खेले
उस रोज़ तुम कहाँ थे

जिस रोज़ धूप निकली
जिस रोज़ धूप निकली
और अलगनी पे डाले
कुछ सूखने को कपड़े
जब अपने घर की छत पे
ख़ामोश मैं खड़ा था
तन्हा उदास बेलें
और दोपहर के पंछी
कुछ मुझ से पूछते थे
उस रोज़ तुम कहाँ थे

  - Tabassum Kashmiri

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari