laga hai rog jab se aashiqi ka
maza aane laga hai zindagi ka
ise ham dosti kaise kaheinge
bharosa jab nahin hai dosti ka
khudi se be-niyaaz ho jaaiyega
ibadat naam hai deewaangi ka
hamaare daur ki hai meherbaani
hai dushman aadmi hi aadmi ka
sar-e-mahfil qayaafa lag rahe hain
sabab kya hai tumhaari khaamoshi ka
mile gar saath ham ko tera taabish
maza kuchh hai alag hi may-kashi ka
लगा है रोग जब से आशिक़ी का
मज़ा आने लगा है ज़िंदगी का
इसे हम दोस्ती कैसे कहेंगे
भरोसा जब नहीं है दोस्ती का
ख़ुदी से बे-नियाज़ हो जाइएगा
इबादत नाम है दीवानगी का
हमारे दौर की है मेहरबानी
है दुश्मन आदमी ही आदमी का
सर-ए-महफ़िल क़याफ़े लग रहे हैं
सबब क्या है तुम्हारी ख़ामुशी का
मिले गर साथ हम को तेरा 'ताबिश'
मज़ा कुछ है अलग ही मय-कशी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dharam Koti
our suggestion based on Tabish Dharam Koti
As you were reading Dost Shayari Shayari