dil mein koi armaan koi hasrat to nahin hai
ab sabr se badh kar koi daulat to nahin hai
dekhoon to gumaan khuld ka hota hai kyun akshar
qadmon ke tale maa tire jannat to nahin hai
darta hoon kahi tum bhi mujhe chhod na jaao
sahne ki gham-e-hijr ki aadat to nahin hai
ghairoon se mere baare mein taftish si karna
ab tu hi bata kya ye mohabbat to nahin hai
दिल में कोई अरमाँ कोई हसरत तो नहीं है
अब सब्र से बढ़ कर कोई दौलत तो नहीं है
देखूँ तो गुमाँ ख़ुल्द का होता है क्यों अक्सर
क़दमों के तले माँ तिरे जन्नत तो नहीं है
डरता हूँ कहीं तुम भी मुझे छोड़ न जाओ
सहने की ग़म-ए-हिज्र की आदत तो नहीं है
ग़ैरों से मिरे बारे में तफ़तीश सी करना
अब तू ही बता क्या ये मोहब्बत तो नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dharam Koti
our suggestion based on Tabish Dharam Koti
As you were reading Kashmir Shayari Shayari