paarsaai ki baat karte ho
kyun khudaai ki baat karte ho
jabki milna hi gair mumkin hai
kyun judaai ki baat karte ho
tum wafaon se gair waqif ho
bewafaai ki baat karte ho
tum saraapa ho kaj-ravi lekin
kaj-adaai ki baat karte ho
zulf-e-jaanaan ka hoon aseer magar
tum rihaai ki baat karte ho
ye farebon ka daur hai taabish
tum bhalaai ki baat karte ho
पारसाई की बात करते हो
क्यों ख़ुदाई की बात करते हो
जबकि मिलना ही ग़ैर मुमकिन है
क्यों जुदाई की बात करते हो
तुम वफ़ाओं से ग़ैर वाक़िफ़ हो
बेवफ़ाई की बात करते हो
तुम सरापा हो कज-रवी लेकिन
कज-अदाई की बात करते हो
ज़ुल्फ़-ए-जानाँ का हूँ असीर मगर
तुम रिहाई की बात करते हो
ये फ़रेबों का दौर है 'ताबिश'
तुम भलाई की बात करते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dharam Koti
our suggestion based on Tabish Dharam Koti
As you were reading Judai Shayari Shayari