aap jo dard-e-dil ki dava de gaye
mujh ko jeene ka ik muddaa de gaye
main ne poocha mera aasraa kaun hai
likh ke kaaghaz pe lafz-e-khuda de gaye
main jiyooun ta-qayamat qayamat hai ye
vo dua mein nihaan bad-dua de gaye
paara-paara dikhoon is liye vo mujhe
ek toota hua aaina de gaye
hijr mein main jiyooun hijr se main marooun
mere munsif mera faisla de gaye
आप जो दर्द-ए-दिल की दवा दे गए
मुझ को जीने का इक मुद्दआ' दे गए
मैं ने पूछा मिरा आसरा कौन है
लिख के काग़ज़ पे लफ़्ज़-ए-ख़ुदा दे गए
मैं जियूँ ता-क़यामत क़यामत है ये
वो दुआ में निहाँ बद-दुआ' दे गए
पारा-पारा दिखूँ इस लिए वो मुझे
एक टूटा हुआ आइना दे गए
हिज्र में मैं जियूँ हिज्र से मैं मरूँ
मेरे मुंसिफ़ मिरा फ़ैसला दे गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabish Dharam Koti
our suggestion based on Tabish Dharam Koti
As you were reading Dua Shayari Shayari