yakh-basta baagh mein koi titli hanoon thi
phoolon pe mere khwaab ki mitti hanoon thi
shahzaadiyon ke khwaab hawa ne chura liye
ta'beer mein bhi neend ki sisaki hanoon thi
us ke hadf the bai's-e-sharmindagi use
us ke har ek teer mein daasi hanoon thi
lafzon ko qaid kar liya us ke hijaab ne
ojhal nazar se arz ki devi hanoon thi
har koh ek qahar ki soorat dikhaai de
har sang mein gareeb ki beti hanoon thi
tapka hai khoon shelf se taahir zameen par
kis kis kitaab mein meri chitthi hanoon thi
यख़-बस्ता बाग़ में कोई तितली हनूत थी
फूलों पे मेरे ख़्वाब की मिट्टी हनूत थी
शहज़ादियों के ख़्वाब हवा ने चुरा लिए
ता'बीर में भी नींद की सिसकी हनूत थी
उस के हदफ़ थे बाइ'स-ए-शर्मिंदगी उसे
उस के हर एक तीर में दासी हनूत थी
लफ़्ज़ों को क़ैद कर लिया उस के हिजाब ने
ओझल नज़र से अर्ज़ की देवी हनूत थी
हर कोह एक क़हर की सूरत दिखाई दे
हर संग में ग़रीब की बेटी हनूत थी
टपका है ख़ून शेल्फ़ से 'ताहिर' ज़मीन पर
किस किस किताब में मिरी चिट्ठी हनूत थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Hanfi
our suggestion based on Tahir Hanfi
As you were reading Education Shayari Shayari