kisi kaaghaz ke seene par ye jazba darj kar dena | किसी काग़ज़ के सीने पर ये जज़्बा दर्ज कर देना

  - Tahir Saood Kiratpuri

kisi kaaghaz ke seene par ye jazba darj kar dena
mere bhaai ke haq mein mera hissa darj kar dena

kai pahluu sabq-aamez is qisse mein mubham hain
hamaare saath guzra hai ye qissa darj kar dena

agar hansne hansaane par koi kaulum likha jaaye
to mere hukmraanon ka ravayya darj kar dena

gaye waqton mein rona qarz tha so ro chuka hoon main
puraana kaat dena aur ugla darj kar dena

tasavvur mein qalam kuchh is tarah goya hua mujh par
kahi dariya ke dil par mujh ko pyaasa darj kar dena

kiraaman kaatibeen tum ko qasam khilqat ke khaaliq ki
meri gustakhion par lafz tauba darj kar dena

agar kaaghaz ke chehre ko sajaana ho kabhi taahir
lab-e-kaaghaz pe koi ek misra darj kar dena

किसी काग़ज़ के सीने पर ये जज़्बा दर्ज कर देना
मिरे भाई के हक़ में मेरा हिस्सा दर्ज कर देना

कई पहलू सबक़-आमेज़ इस क़िस्से में मुबहम हैं
हमारे साथ गुज़रा है ये क़िस्सा दर्ज कर देना

अगर हँसने हँसाने पर कोई कॉलम लिखा जाए
तो मेरे हुक्मरानों का रवय्या दर्ज कर देना

गए वक़्तों में रोना क़र्ज़ था सो रो चुका हूँ मैं
पुराना काट देना और उगला दर्ज कर देना

तसव्वुर में क़लम कुछ इस तरह गोया हुआ मुझ पर
कहीं दरिया के दिल पर मुझ को प्यासा दर्ज कर देना

किरामन कातिबीं तुम को क़सम ख़िल्क़त के ख़ालिक़ की
मिरी गुस्ताख़ियों पर लफ़्ज़ तौबा दर्ज कर देना

अगर काग़ज़ के चेहरे को सजाना हो कभी 'ताहिर'
लब-ए-काग़ज़ पे कोई एक मिसरा दर्ज कर देना

  - Tahir Saood Kiratpuri

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Saood Kiratpuri

As you were reading Shayari by Tahir Saood Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Saood Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari