hamaare shehar mein ghar is liye sunsaan rahte hain | हमारे शहर में घर इस लिए सुनसान रहते हैं

  - Tahir Saood Kiratpuri

hamaare shehar mein ghar is liye sunsaan rahte hain
ki ghar ghar khauf se sahme hue insaan rahte hain

agar tum ishq ki masjid mein jaana thaan hi baithe
to bar-khurdaar seekho us ke kya arkaan rahte hain

mujhe maalik mere bacchon ke har gham se bacha lena
lab-e-dil par wahi ban kar mere muskaan rahte hain

mujhe koi dikha kar khwaab mein mera nagar bola
yahan la-haul vird-e-khaas rakh shaitaan rahte hain

mohabbat vo muqaddas cheez hai sun ai dil-e-naadaan
vo mil jaaye to raahat ke bade imkaan rahte hain

wahi dil mo'tabar mufti hai ahl-e-deen ki duniya mein
ki jis mein ai zamaane muttaqi armaan rahte hain

meri basti pe hargiz qahar barpa ho nahin saka
meri basti mein ghar ghar saahib-e-imaan rahte hain

miyaan shohrat bhi akshar aadmi pe zulm dhaati hai
wahi achhe hain duniya mein jo kam pehchaan rahte hain

yahan har baat aankhon ke ishaare se karo taahir
lage deewaar se har waqt kitne kaan rahte hain

हमारे शहर में घर इस लिए सुनसान रहते हैं
कि घर घर ख़ौफ़ से सहमे हुए इंसान रहते हैं

अगर तुम इश्क़ की मस्जिद में जाना ठान ही बैठे
तो बर-ख़ुरदार सीखो उस के क्या अरकान रहते हैं

मुझे मालिक मिरे बच्चों के हर ग़म से बचा लेना
लब-ए-दिल पर वही बन कर मिरे मुस्कान रहते हैं

मुझे कोई दिखा कर ख़्वाब में मेरा नगर बोला
यहाँ ला-हौल विर्द-ए-ख़ास रख शैतान रहते हैं

मोहब्बत वो मुक़द्दस चीज़ है सुन ऐ दिल-ए-नादाँ
वो मिल जाए तो राहत के बड़े इम्कान रहते हैं

वही दिल मो'तबर मुफ़्ती है अहल-ए-दीं की दुनिया में
कि जिस में ऐ ज़माने मुत्तक़ी अरमान रहते हैं

मिरी बस्ती पे हरगिज़ क़हर बरपा हो नहीं सकता
मिरी बस्ती में घर घर साहिब-ए-ईमान रहते हैं

मियाँ शोहरत भी अक्सर आदमी पे ज़ुल्म ढाती है
वही अच्छे हैं दुनिया में जो कम पहचान रहते हैं

यहाँ हर बात आँखों के इशारे से करो 'ताहिर'
लगे दीवार से हर वक़्त कितने कान रहते हैं

  - Tahir Saood Kiratpuri

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Saood Kiratpuri

As you were reading Shayari by Tahir Saood Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Saood Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari