talkh lahja jis ki fitrat hai usi naari ka bojh | तल्ख़ लहजा जिस की फ़ितरत है उसी नारी का बोझ

  - Tahir Saood Kiratpuri

talkh lahja jis ki fitrat hai usi naari ka bojh
main uthaaye phir raha hoon zeest bechaari ka bojh

katghare mein adl ki khaatir khada hai be-qusoor
dho raha hai ek bebas kab se laachaari ka bojh

is liye pal bhar ko main sota nahin aaraam se
le ke sota hoon hamesha sar pe bedaari ka bojh

zindagi kaise guzaarun main to ik mazdoor hoon
ik taraf beti ki shaadi us pe beemaari ka bojh

us ko aankhon ne nahin dekha to yun lagta raha
jaise aankhon ke saroon par ho jafa-kaari ka bojh

aur mat rakho mere kaandhon pe zimmedaariyaan
pehle hi kuchh kam nahin hai roti tarkaari ka bojh

tajarbe ke saath kijie misra-e-saani qubool
sab se bhari hai to hai duniya mein khuddaari ka bojh

baar-e-fan dhone ki taqat de vagarna ai kareem
na-tawan kaise utha saka hai fankaari ka bojh

baadshaah-e-waqt hain be-fikr aur taahir-'saoud
naujavaan dil par liye firte hain bekaari ka bojh

तल्ख़ लहजा जिस की फ़ितरत है उसी नारी का बोझ
मैं उठाए फिर रहा हूँ ज़ीस्त बेचारी का बोझ

कटघरे में अद्ल की ख़ातिर खड़ा है बे-क़ुसूर
ढो रहा है एक बेबस कब से लाचारी का बोझ

इस लिए पल भर को मैं सोता नहीं आराम से
ले के सोता हूँ हमेशा सर पे बेदारी का बोझ

ज़िंदगी कैसे गुज़ारूँ मैं तो इक मज़दूर हूँ
इक तरफ़ बेटी की शादी उस पे बीमारी का बोझ

उस को आँखों ने नहीं देखा तो यूँ लगता रहा
जैसे आँखों के सरों पर हो जफ़ा-कारी का बोझ

और मत रक्खो मिरे काँधों पे ज़िम्मेदारियाँ
पहले ही कुछ कम नहीं है रोटी तरकारी का बोझ

तजरबे के साथ कीजिए मिस्रा-ए-सानी क़ुबूल
सब से भारी है तो है दुनिया में ख़ुद्दारी का बोझ

बार-ए-फ़न ढोने की ताक़त दे वगर्ना ऐ करीम
ना-तवाँ कैसे उठा सकता है फ़नकारी का बोझ

बादशाह-ए-वक़्त हैं बे-फ़िक्र और ताहिर-'सऊद'
नौजवाँ दिल पर लिए फिरते हैं बेकारी का बोझ

  - Tahir Saood Kiratpuri

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Saood Kiratpuri

As you were reading Shayari by Tahir Saood Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Saood Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari