hayaat-o-maut ki uljhan mein daalta kyun hai
ye tohmaten mere oopar uchaalta kyun hai
ab aa gaya hoon to khatre mein daalta kyun hai
andheri raat mein ghar se nikaalta kyun hai
abhi mo'amala-e-kaaynaat tay kar de
zara si baat qayamat pe taalta kyun hai
kisi tarah bhi to insaan tira hareef nahin
phir is gareeb ko tu maar daalta kyun hai
nadeem tera to is mein koi mafaad nahin
main gir raha hoon tu mujh ko sambhaalta kyun hai
mujhe bacha na sakega tu ghark hone se
fuzool khud ko halaakat mein daalta kyun hai
kisi tarah to ye ehsaas ka azaab mite
tu mere seene se khanjar nikaalta kyun hai
tu apni fikr ko kuchh bhi samajh magar taahir
kisi ke she'r mein keede nikaalta kyun hai
हयात-ओ-मौत की उलझन में डालता क्यों है
ये तोहमतें मिरे ऊपर उछालता क्यों है
अब आ गया हूँ तो ख़तरे में डालता क्यों है
अँधेरी रात में घर से निकालता क्यों है
अभी मोआ'मला-ए-काएनात तय कर दे
ज़रा सी बात क़यामत पे टालता क्यों है
किसी तरह भी तो इंसाँ तिरा हरीफ़ नहीं
फिर इस ग़रीब को तू मार डालता क्यों है
नदीम तेरा तो इस में कोई मफ़ाद नहीं
मैं गिर रहा हूँ तू मुझ को सँभालता क्यों है
मुझे बचा न सकेगा तू ग़र्क़ होने से
फ़ुज़ूल ख़ुद को हलाकत में डालता क्यों है
किसी तरह तो ये एहसास का अज़ाब मिटे
तू मेरे सीने से ख़ंजर निकालता क्यों है
तू अपनी फ़िक्र को कुछ भी समझ मगर 'ताहिर'
किसी के शे'र में कीड़े निकालता क्यों है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Tilhari
our suggestion based on Tahir Tilhari
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari