tanhaai mil saki na ghadi bhar kisi ke saath
saaya bhi mere saath raha raushni ke saath
raushan hua na koi dareecha mere baghair
ik rabt-e-khaas rakhta hoon main us gali ke saath
do din ki zindagi mein bhi dhadka tha hashr ka
karte rahe gunaah magar be-dili ke saath
main be-amal tha fard-e-amal kaise ban gai
kaisa mazaak hai ye meri bebaasi ke saath
main us ko chhod saka hoon taahir na vo mujhe
ik zindagi bandhi hai meri zindagi ke saath
तन्हाई मिल सकी न घड़ी भर किसी के साथ
साया भी मेरे साथ रहा रौशनी के साथ
रौशन हुआ न कोई दरीचा मिरे बग़ैर
इक रब्त-ए-ख़ास रखता हूँ मैं उस गली के साथ
दो दिन की ज़िंदगी में भी धड़का था हश्र का
करते रहे गुनाह मगर बे-दिली के साथ
मैं बे-अमल था फ़र्द-ए-अमल कैसे बन गई
कैसा मज़ाक़ है ये मिरी बेबसी के साथ
मैं उस को छोड़ सकता हूँ 'ताहिर' न वो मुझे
इक ज़िंदगी बंधी है मिरी ज़िंदगी के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Tilhari
our suggestion based on Tahir Tilhari
As you were reading Gaon Shayari Shayari