mera maqsood-e-nazar lauh-e-muqaddar mein nahin
main vo moti dhoondhta hoon jo samundar mein nahin
baat karne ki bhi ab furqat nahin shaayad use
main ne jab awaaz di zimmedaariyon diya ghar mein nahin
kis tarah se dhoiye chehre se gard-e-maah-o-saal
itne aansu bhi to apne deeda-e-tar mein nahin
jagmaga sakti ho jis se khaamoshi ki reg-e-dil
itni aab-o-taab aawazon ke khanjar mein nahin
vaaheemon ke bhoot gham ke saaye sannaate ke naag
kaun sa aaseb ai taahir mere ghar mein nahin
मेरा मक़्सूद-ए-नज़र लौह-ए-मुक़द्दर में नहीं
मैं वो मोती ढूँढता हूँ जो समुंदर में नहीं
बात करने की भी अब फ़ुर्सत नहीं शायद उसे
मैं ने जब आवाज़ दी कहला दिया घर में नहीं
किस तरह से धोइए चेहरे से गर्द-ए-माह-ओ-साल
इतने आँसू भी तो अपने दीदा-ए-तर में नहीं
जगमगा सकती हो जिस से ख़ामुशी की रेग-ए-दिल
इतनी आब-ओ-ताब आवाज़ों के ख़ंजर में नहीं
वाहिमों के भूत ग़म के साए सन्नाटे के नाग
कौन सा आसेब ऐ 'ताहिर' मिरे घर में नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Tilhari
our suggestion based on Tahir Tilhari
As you were reading Shama Shayari Shayari