khalish-e-zakhm-e-tamanna ka mudaava bhi na tha | ख़लिश-ए-ज़ख़्म-ए-तमन्ना का मुदावा भी न था

  - Tahir Tilhari

khalish-e-zakhm-e-tamanna ka mudaava bhi na tha
main ne vo chaaha jo taqdeer mein likkha bhi na tha

itna yaad aayega ik roz ye socha bhi na tha
haaye vo shakhs ki jis se koi rishta bhi na tha

kyun use dekh ke badhti thi meri tishna-labi
abr-paaraa bhi na tha vo koi dariya bhi na tha

dil vo sehra ki jahaan udti thi haalaat ki gard
gham vo baadal jo kabhi khul ke barsta bhi na tha

tu ne kyun jaagte rahne ki saza di mujh ko
tere baare mein koi khwaab to dekha bhi na tha

ho gaye log ye kyun mere lahu ke pyaase
main ne to aankh utha kar use dekha bhi na tha

kuchh jhijhakti hui nazrein bhi theen mahw-e-gul-gasht
main chaman-zaar-e-tasavvur mein akela bhi na tha

baaz raaton mein ye manzar bhi nazar se guzra
sham'a bhi jaltee rahi ghar mein ujaala bhi na tha

kabhi ban jaayegi yun yaad tiri juzw-e-hayaat
main ne is rukh se tire baab mein socha bhi na tha

aasmaan aur zameen hadd-e-nazar tak the muheet
ham kahaan jaate nikal kar koi rasta bhi na tha

kuchh umeedein theen umangein theen tamannaayein theen
dil tiri raah mein nikla to akela bhi na tha

umr bhar karte rahe ghar ki tamannaa taahir
aur taqdeer mein deewaar ka saaya bhi na tha

ख़लिश-ए-ज़ख़्म-ए-तमन्ना का मुदावा भी न था
मैं ने वो चाहा जो तक़दीर में लिक्खा भी न था

इतना याद आएगा इक रोज़ ये सोचा भी न था
हाए वो शख़्स कि जिस से कोई रिश्ता भी न था

क्यों उसे देख के बढ़ती थी मिरी तिश्ना-लबी
अब्र-पारा भी न था वो कोई दरिया भी न था

दिल वो सहरा कि जहाँ उड़ती थी हालात की गर्द
ग़म वो बादल जो कभी खुल के बरसता भी न था

तू ने क्यों जागते रहने की सज़ा दी मुझ को
तेरे बारे में कोई ख़्वाब तो देखा भी न था

हो गए लोग ये क्यों मेरे लहू के प्यासे
मैं ने तो आँख उठा कर उसे देखा भी न था

कुछ झिझकती हुई नज़रें भी थीं महव-ए-गुल-गश्त
मैं चमन-ज़ार-ए-तसव्वुर में अकेला भी न था

बाज़ रातों में ये मंज़र भी नज़र से गुज़रा
शम्अ' भी जलती रही घर में उजाला भी न था

कभी बन जाएगी यूँ याद तिरी जुज़्व-ए-हयात
मैं ने इस रुख़ से तिरे बाब में सोचा भी न था

आसमाँ और ज़मीं हद्द-ए-नज़र तक थे मुहीत
हम कहाँ जाते निकल कर कोई रस्ता भी न था

कुछ उमीदें थीं उमंगें थीं तमन्नाएँ थीं
दिल तिरी राह में निकला तो अकेला भी न था

उम्र भर करते रहे घर की तमन्ना 'ताहिर'
और तक़दीर में दीवार का साया भी न था

  - Tahir Tilhari

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Tilhari

As you were reading Shayari by Tahir Tilhari

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Tilhari

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari