meri bhasha koii samajhta nahin
khaamoshi koii bhi samajhta nahin
main jis ik shakhs ko samajhta hoon
ik mujhe bas wahi samajhta nahin
dariya hai tu to kaisa dariya hai
jo meri pyaas hi samajhta nahin
har maheene hi ishq hota hai
baat ye farvari samajhta nahin
kuchh jatil sa bhi gahe-gahe kaho
har koii saadgi samajhta nahin
tu ise shayari samajhta hai
yaani tu shayari samajhta nahin
raam kii baat kar raha hai vo
baat jo raam kii samajhta nahin
ise main naam doon to kya faani
jise main zindagi samajhta nahin
मेरी भाषा कोई समझता नहीं
ख़ामुशी कोई भी समझता नहीं
मैं जिस इक शख़्स को समझता हूँ
इक मुझे बस वही समझता नहीं
दरिया है तू तो कैसा दरिया है
जो मेरी प्यास ही समझता नहीं
हर महीने ही इश्क़ होता है
बात ये फ़रवरी समझता नहीं
कुछ जटिल सा भी गाहे-गाहे कहो
हर कोई सादगी समझता नहीं
तू इसे शायरी समझता है
यानी तू शायरी समझता नहीं
राम की बात कर रहा है वो
बात जो राम की समझता नहीं
इसे मैं नाम दूँ तो क्या 'फ़ानी'
जिसे मैं ज़िंदगी समझता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ananth Faani
our suggestion based on Ananth Faani
As you were reading Kashmir Shayari Shayari