in kaatibon ki is qalam ka rozana to dekhiye
phir ye ghazalgoi radif-o-qaafiya to dekhiye
sabko dikhaate phir rahe hain aap aaina magar
jo aap mein hai pal raha vo vasvasa to dekhiye
parveen ki khaatir mara tha ek sarwat bhi kahi
in aashiqon ki aashiqi ka hausla to dekhiye
ye khud parasti maarti hai khud paraston ko magar
is khudparasti ka ye insaani khuda to dekhiye
jismoon mein uryaani hai ismon mein rivaayat bhi nahin
naslein jidhar ye ja rahi vo raasta to dekhiye
haan aap is daulat mein hissa baantie beshak magar
pehle pitaa ke haath ka vo aablaa to dekhiye
salma mohabbat sabz rakhti hai dilon ko to magar
hai jo mohabbat mein bana vo maqbara to dekhiye
इन कातिबों की इस क़लम का मोजिज़ा तो देखिए
फिर ये ग़ज़लगोई रदीफ़-ओ-क़ाफ़िया तो देखिए
सबको दिखाते फिर रहे हैं आप आईना मगर
जो आप में है पल रहा वो वसवसा तो देखिए
परवीन की ख़ातिर मरा था एक सरवत भी कहीं
इन आशिक़ों की आशिक़ी का हौसला तो देखिए
ये ख़ुद परस्ती मारती है ख़ुद परस्तों को मगर
इस ख़ुदपरस्ती का ये इंसानी ख़ुदा तो देखिए
जिस्मों में उर्यानी है इस्मों में रिवायत भी नहीं
नस्लें जिधर ये जा रही वो रास्ता तो देखिए
हाँ आप इस दौलत में हिस्सा बाँटिए बेशक मगर
पहले पिता के हाथ का वो आबला तो देखिए
'सलमा' मोहब्बत सब्ज़ रखती है दिलों को तो मगर
है जो मोहब्बत में बना वो मक़बरा तो देखिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Qabr Shayari Shayari