tujh ko takta rehta hoon | तुझ को तकता रहता हूँ

  - Umar Farhat

tujh ko takta rehta hoon
main bhi tere jaisa hoon

vo mitti ho jaata hai
jis ko haath lagata hoon

main mitti ke khwaabon se
ishq bana ke baitha hoon

aap ko chaanv mubarak ho
main to ped ugaata hoon

main kaanch ka chhota sa ghar
kis ke liye banata hoon

koi mujh se baat kare
har ik ka munh takta hoon

tum hi tum to hote ho
jab main khud mein hota hoon

तुझ को तकता रहता हूँ
मैं भी तेरे जैसा हूँ

वो मिट्टी हो जाता है
जिस को हाथ लगाता हूँ

मैं मिट्टी के ख़्वाबों से
इश्क़ बना के बैठा हूँ

आप को छाँव मुबारक हो
मैं तो पेड़ उगाता हूँ

मैं काँच का छोटा सा घर
किस के लिए बनाता हूँ

कोई मुझ से बात करे
हर इक का मुँह तकता हूँ

तुम ही तुम तो होते हो
जब मैं ख़ुद में होता हूँ

  - Umar Farhat

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umar Farhat

As you were reading Shayari by Umar Farhat

Similar Writers

our suggestion based on Umar Farhat

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari