raah jo chalni hai us mein khoobiyaan koi nahin
rooh apni chhod ke waqt-e-giraan koi nahin
dehr hai jalta hua aur pattharon ke aadmi
chilchilaati dhoop hai aur aashiyaan koi nahin
aur kitna aazmaana jo hua vo khoob hai
tum wahi ho ham wahi raaz-e-nihaan koi nahin
hai naya kuchh bhi nahin kyun is qadar hairaan hue
saath chalne ko tumhaare ai miyaan koi nahin
saamne maqtal hua lo fikr se khaariz hue
bas yahi rasta hai jis ke darmiyaan koi nahin
राह जो चलनी है उस में ख़ूबियाँ कोई नहीं
रूह अपनी छोड़ के वक़्त-ए-गिराँ कोई नहीं
दहर है जलता हुआ और पत्थरों के आदमी
चिलचिलाती धूप है और आशियाँ कोई नहीं
और कितना आज़माना जो हुआ वो ख़ूब है
तुम वही हो हम वही राज़-ए-निहाँ कोई नहीं
है नया कुछ भी नहीं क्यूँ इस क़दर हैराँ हुए
साथ चलने को तुम्हारे ऐ मियाँ कोई नहीं
सामने मक़्तल हुआ लो फ़िक्र से ख़ारिज हुए
बस यही रस्ता है जिस के दरमियाँ कोई नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urmila Madhav
our suggestion based on Urmila Madhav
As you were reading Raasta Shayari Shayari