khud sawaal-o-jawaab karte raho | ख़ुद सवाल-ओ-जवाब करते रहो

  - Urmila Madhav

khud sawaal-o-jawaab karte raho
apne dil se hisaab karte raho

kyun ye armaan yun hi mar jaaye
talab-e-aftaab karte raho

chaandni ho ya chaand ho khud hi
tum to niyyat kharab karte raho

chahe tarjeeh koi de ya nahin
khud ko yun hi saraab karte raho

jab talak jism toot kar na gire
zindagi be-naqaab karte raho

ख़ुद सवाल-ओ-जवाब करते रहो
अपने दिल से हिसाब करते रहो

क्यूँ ये अरमान यूँ ही मर जाए
तलब-ए-आफ़ताब करते रहो

चाँदनी हो या चाँद हो ख़ुद ही
तुम तो निय्यत ख़राब करते रहो

चाहे तरजीह कोई दे या नहीं
ख़ुद को यूँ ही सराब करते रहो

जब तलक जिस्म टूट कर न गिरे
ज़िंदगी बे-नक़ाब करते रहो

  - Urmila Madhav

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urmila Madhav

As you were reading Shayari by Urmila Madhav

Similar Writers

our suggestion based on Urmila Madhav

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari