dhoondhiye is shehar mein ab kis ko haasil kaun hai | ढूँढिए इस शहर में अब किस को हासिल कौन है

  - Urmila Madhav

dhoondhiye is shehar mein ab kis ko haasil kaun hai
aur zara batlaaiye kis ke muqaabil kaun hai

main ne mizaanon se poocha taq par rakh kar zameer
apni in barbaadiyon mein aur shaamil kaun hai

khud hawaale kar ke jis ne kashtiyaan toofaan mein
baadbaan se ja ke poocha mera saahil kaun hai

ye naseem-o-khaar-o-khas kis ne jalaya aag mein
aabshaaron ne ye socha itna jaahil kaun hai

barf ka seena pighal kar ek dariya ho gaya
kaun thehra tha yahan par itna maail kaun hai

ढूँढिए इस शहर में अब किस को हासिल कौन है
और ज़रा बतलाईए किस के मुक़ाबिल कौन है

मैं ने मीज़ानों से पूछा ताक़ पर रख कर ज़मीर
अपनी इन बर्बादियों में और शामिल कौन है

ख़ुद हवाले कर के जिस ने कश्तियाँ तूफ़ान में
बादबाँ से जा के पूछा मेरा साहिल कौन है

ये नसीम-ओ-ख़ार-ओ-ख़स किस ने जलाया आग में
आबशारों ने ये सोचा इतना जाहिल कौन है

बर्फ़ का सीना पिघल कर एक दरिया हो गया
कौन ठहरा था यहाँ पर इतना माइल कौन है

  - Urmila Madhav

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urmila Madhav

As you were reading Shayari by Urmila Madhav

Similar Writers

our suggestion based on Urmila Madhav

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari