jaane kis kis ne hamein taakeed ki
kyun nahin dekhi chamak khurshid ki
jabki ehsaas-e-raqabat ho gaya
kis se tab ummeed ho taaid ki
sab chamak se hi agar mansoob tha
sab se behtar thi chamak naaheed ki
khoobsurat zindagi nairang hai
ham ne kab us se koi ummeed ki
jab taghaaful ka iraada kar liya
kaun karta fikr khair o deed ki
जाने किस किस ने हमें ताकीद की
क्यूँ नहीं देखी चमक ख़ुर्शीद की
जबकि एहसास-ए-रक़ाबत हो गया
किस से तब उम्मीद हो ताईद की
सब चमक से ही अगर मंसूब था
सब से बेहतर थी चमक नाहीद की
ख़ूबसूरत ज़िंदगी नैरंग है
हम ने कब उस से कोई उम्मीद की
जब तग़ाफ़ुल का इरादा कर लिया
कौन करता फ़िक्र ख़ैर ओ दीद की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Urmila Madhav
our suggestion based on Urmila Madhav
As you were reading Husn Shayari Shayari