kal meri likhi ik nazm | कल मेरी लिखी इक नज़्म

  - Utkarsh Musafir

kal meri likhi ik nazm
ne khud-kushi kar li
jise arse pehle main ne likha tha
na jaane kyun
shaayad naaraz thi mujh se
kai arse se qaid thi
diary ke safhon mein kahi
gumnaam si ho chuki thi vo

mujhe bhi is baat ka gham hai
main ne us ka khayal kyun nahin kiya
kai martaba sochta to tha
zikr bhi karta tha apnon se
phir agli hi dafa
jab sunta tha kuchh english gaane
zehan se utar jaata tha us tanhaa nazm ka khayal

कल मेरी लिखी इक नज़्म
ने ख़ुद-कुशी कर ली
जिसे अर्से पहले मैं ने लिखा था
न जाने क्यों
शायद नाराज़ थी मुझ से
कई अर्से से क़ैद थी
डायरी के सफ़्हों में कहीं
गुमनाम सी हो चुकी थी वो

मुझे भी इस बात का ग़म है
मैं ने उस का ख़याल क्यों नहीं किया
कई मर्तबा सोचता तो था
ज़िक्र भी करता था अपनों से
फिर अगली ही दफ़ा
जब सुनता था कुछ इंग्लिश गाने
ज़ेहन से उतर जाता था उस तन्हा नज़्म का ख़याल

  - Utkarsh Musafir

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Utkarsh Musafir

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari