khud ko tire aage ab laachaar nahin karte
ja ja tu sanam tujhse ham pyaar nahin karte
haan mil gai hai mujhko koii tiri jaisi hi
ab samjhi tabhi tera deedaar nahin karte
sab chhod ke bas tujh mein hi doobe hain rahte ham
itna bhi sanam hamko bekar nahin karte
dab jaata hai sach kone mein jhoothi khabar bankar
sach likhne ka kaam ab ye akhbaar nahin karte
kya jhagda hai ismein ye tera hai ye mera hai
yun pyaar mein batwaara ham yaar nahin karte
ख़ुद को तिरे आगे अब लाचार नहीं करते
जा जा तू सनम तुझसे हम प्यार नहीं करते
हाँ मिल गई है मुझको कोई तिरी जैसी ही
अब समझी तभी तेरा दीदार नहीं करते
सब छोड़ के बस तुझ में ही डूबे हैं रहते हम
इतना भी सनम हमको बेकार नहीं करते
दब जाता है सच कोने में झूठी ख़बर बनकर
सच लिखने का काम अब ये अख़बार नहीं करते
क्या झगड़ा है इसमें ये तेरा है ये मेरा है
यूँ प्यार में बटवारा हम यार नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Utkarsh Khare Musafir
our suggestion based on Utkarsh Khare Musafir
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari