kis dhun mein rahti ho tum
uljhe hue baalon ki girhen
tum se nahin suljhati kya
laao inhen main suljhaa doon
oon ke uljhe guchchon se
ye baal tumhaare
suljhe to resham ho jaayen
aur baalon ko suljhaane ke bahaane
jeevan ki uljhan suljhaaoon
ghane bano mein shank bajaaoon
aur titli ban kar ud jaaun
shaakhon ko main raqs dikhaaun
ek kaaghaz ki naav banaaun
tujh ko door baha le jaaun
aur tere dukh ki varsha mein
antarman tak bheegti jaaun
aa ajnabi si ladki
main teri bachpan ki si saheli ho jaaun
किस धुन में रहती हो तुम
उलझे हुए बालों की गिर्हें
तुम से नहीं सुलझती क्या
लाओ इन्हें मैं सुलझा दूँ
ऊन के उलझे गुच्छों से
ये बाल तुम्हारे
सुलझे तो रेशम हो जाएँ
और बालों को सुलझाने के बहाने
जीवन की उलझन सुलझाऊँ
घने बनों में शंख बजाऊँ
और तितली बन कर उड़ जाऊँ
शाख़ों को मैं रक़्स दिखाऊँ
एक काग़ज़ की नाव बनाऊँ
तुझ को दूर बहा ले जाऊँ
और तेरे दुख की वर्षा में
अंतर्मन तक भीगती जाऊँ
आ अजनबी सी लड़की
मैं तेरी बचपन की सी सहेली हो जाऊँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Varsha Gorchhia
As you were reading Bachpan Shayari Shayari