jaan-e-jaan roz kyun nahaati ho | जान-ए-जाँ रोज़ क्यों नहाती हो

  - Vaseem 'Haidar'

jaan-e-jaan roz kyun nahaati ho
ban-sanwar ke kahaan ko jaati ho

aur kitni dafa kahoon tumse
tum bahut mujhko yaad aati ho

kya mera dukh tumhein nahin bilkul
yaar kyun itna muskuraati ho

main bujha hoon bujha rahoonga ab
tum to taare si jagmagaati ho

mujhko sach sach batao jaan-e-jaan
mujhse tum nazrein kyun churaati ho

kaise de den tumhein ye apna dil
tum dilon ko bahut dukhaati ho

tumko kya intiqaam lena hai
mujh pe kyun itna zulm dhaati ho

koi ladka nazar mein aaya kya
tum patange bahut udaati ho

जान-ए-जाँ रोज़ क्यों नहाती हो
बन-सँवर के कहाँ को जाती हो

और कितनी दफ़ा कहूँ तुमसे
तुम बहुत मुझको याद आती हो

क्या मिरा दुख तुम्हें नहीं बिलकुल
यार क्यों इतना मुस्कुराती हो

मैं बुझा हूँ बुझा रहूँगा अब
तुम तो तारे सी जगमगाती हो

मुझको सच सच बताओ जान-ए-जाँ
मुझसे तुम नज़रें क्यों चुराती हो

कैसे दे दें तुम्हें ये अपना दिल
तुम दिलों को बहुत दुखाती हो

तुमको क्या इंतिकाम लेना है
मुझ पे क्यूँ इतना ज़ुल्म ढाती हो

कोई लड़का नज़र में आया क्या
तुम पतंगें बहुत उड़ाती हो

  - Vaseem 'Haidar'

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari