ye tasavvur ab tabaahi hai nahin
shaam ko aankhen milaati hai nahin
sabr mujhko kaise ho tu hi bata
teri photo bhi puraani hai nahin
khush bahut rehta hoon yaaron ab suno
mere andar ye udaasi hai nahin
uski khaatir kitna roya jaaye ab
aankh mein ab mere paani hai nahin
saath mere vo rahegi kaise phir
haath mein uski kalaaee hai nahin
ये तसव्वुर अब तबाही है नहीं
शाम को आँखें मिलाती है नहीं
सब्र मुझको कैसे हो तू ही बता
तेरी फोटो भी पुरानी है नहीं
ख़ुश बहुत रहता हूँ यारों अब सुनो
मेरे अंदर ये उदासी है नहीं
उसकी ख़ातिर कितना रोया जाए अब
आँख में अब मेरे पानी है नहीं
साथ मेरे वो रहेगी कैसे फिर
हाथ में उसकी कलाई है नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Aankhein Shayari Shayari