phool baalon mein kyun lagati ho
aur hans hans ke bhi dikhaati ho
ghar se burqa pahan ke jaan-e-jaan
kuchh kaho kis se milne jaati ho
dil pe kya chot tumne khaai hai
baat koii ho muskuraati ho
apna ye dil tumhein nahin dena
jhoothi qasmen bahut hi khaati ho
kya kisi se nazar mila li hai
khud ko kyun itna tum sajaati ho
koii mere bhi dil mein rehta tha
tum ye baatein kise bataati ho
फूल बालों में क्यों लगाती हो
और हँस हँस के भी दिखाती हो
घर से बुर्क़ा पहन के जान-ए-जाँ
कुछ कहो किस से मिलने जाती हो
दिल पे क्या चोट तुमने खाई है
बात कोई हो मुस्कुराती हो
अपना ये दिल तुम्हें नहीं देना
झूठी क़समें बहुत ही खाती हो
क्या किसी से नज़र मिला ली है
ख़ुद को क्यों इतना तुम सजाती हो
कोई मेरे भी दिल में रहता था
तुम ये बातें किसे बताती हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Jhooth Shayari Shayari