tumhein koi chhue yaksar mujhe achha nahin lagta
tumhaara jo hai chaara-gar mujhe achha nahin lagta
suno is shehar se jee bhar gaya hai ab karoon kya main
so milte sabse tum hans kar mujhe achha nahin lagta
bataaye koi mera ghar kahaan hai ilm nain mujhko
mujhe jaana hai apne ghar mujhe achha nahin lagta
tumhein vo choo rahe the dekha hai maine shikaayat nain
main kaise dekhoon ye manzar mujhe achha nahin lagta
sabhi ke dil pe tum to raaj karti ho pata hai ye
ye achhi baat to hai par mujhe achha nahin lagta
तुम्हें कोई छुए यकसर मुझे अच्छा नहीं लगता
तुम्हारा जो है चारा-गर मुझे अच्छा नहीं लगता
सुनो इस शहर से जी भर गया है अब करूँ क्या मैं
सो मिलते सबसे तुम हँस कर मुझे अच्छा नहीं लगता
बताए कोई मेरा घर कहाँ है इल्म नइँ मुझको
मुझे जाना है अपने घर मुझे अच्छा नहीं लगता
तुम्हें वो छू रहे थे देखा है मैंने शिकायत नइँ
मैं कैसे देखूँ ये मंज़र मुझे अच्छा नहीं लगता
सभी के दिल पे तुम तो राज करती हो पता है ये
ये अच्छी बात तो है पर मुझे अच्छा नहीं लगता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Baaten Shayari Shayari