ye jhoolta saaya | ये झूलता साया

  - Veneet Raja

ye jhoolta saaya
saanp hai ya rassi
ye jaanne se pehle
kya ye maanna hoga
ke koi ek hai
aur ik nahin hai

kya maanna jaanne ki pehli shart hai
aur jaanna maanne ki mahaj tasdeeq-bhar hai

to use
jise jaana nahin jaata
maana kaise jaaye

ये झूलता साया
साँप है या रस्सी
ये जानने से पहले
क्या ये मानना होगा
के कोई एक है
और इक नहीं है

क्या मानना जानने की पहली शर्त है
और जानना मानने की महज़ तस्दीक़-भर है

तो उसे
जिसे जाना नहीं जाता
माना कैसे जाए

  - Veneet Raja

Ijazat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Veneet Raja

Similar Moods

As you were reading Ijazat Shayari Shayari