jo tumhaare kaan mein phoonka gaya tha
vo tumhaara naam kab tha
vo to husn-e-aib hai
jo is ko us se juda karta hai
aao saare ism-e-farzi bhool jaayen
aur ye bhi bhool jaayen ham ki kuchh bhule hue hain
yaad bhi ek bojh hai
is qadar lambe safar mein
जो तुम्हारे कान में फूँका गया था
वो तुम्हारा नाम कब था
वो तो हुस्न-ए-ऐब है
जो इस को उस से जुदा करता है
आओ सारे इस्म-ए-फ़र्ज़ी भूल जाएँ
और ये भी भूल जाएँ हम कि कुछ भूले हुए हैं
याद भी एक बोझ है
इस क़दर लम्बे सफ़र में
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Veneet Raja
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari