safar mein ab nahin par aablaa-paai nahin jaati
hamaari raaston se yun shanaasaai nahin jaati
rahein ham mehfilon mein ya rahein duniya ke mele mein
akela chhod kar lekin ye tanhaai nahin jaati
nigaahon ke ishaare bhi mohabbat bhi alaamat hain
sabhi baatein zabaani hi to batlaai nahin jaati
badi naazuk si hai dori ye rishton ki bataaun kya
uljh ik baar gir jaaye to suljhaai nahin jaati
lagaaye koi bhi kitne yahan chehron pe chehre hi
haqeeqat aaine se phir bhi jhutlaai nahin jaati
na jaane khwaab hain kitne tamannaayein khilauno si
magar ye zindagi un se to behlaai nahin jaati
kahaani zindagi ki yun to dilkash hai magar waahid
koi ik baar jo padh le to dohraai nahin jaati
सफ़र में अब नहीं पर आबला-पाई नहीं जाती
हमारी रास्तों से यूँ शनासाई नहीं जाती
रहें हम महफ़िलों में या रहें दुनिया के मेले में
अकेला छोड़ कर लेकिन ये तन्हाई नहीं जाती
निगाहों के इशारे भी मोहब्बत भी अलामत हैं
सभी बातें ज़बानी ही तो बतलाई नहीं जाती
बड़ी नाज़ुक सी है डोरी ये रिश्तों की बताऊँ क्या
उलझ इक बार गिर जाए तो सुलझाई नहीं जाती
लगाए कोई भी कितने यहाँ चेहरों पे चेहरे ही
हक़ीक़त आइने से फिर भी झुटलाई नहीं जाती
न जाने ख़्वाब हैं कितने तमन्नाएँ खिलौनों सी
मगर ये ज़िंदगी उन से तो बहलाई नहीं जाती
कहानी ज़िंदगी की यूँ तो दिलकश है मगर 'वाहिद'
कोई इक बार जो पढ़ ले तो दोहराई नहीं जाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Joshi Wahid
our suggestion based on Vikas Joshi Wahid
As you were reading Life Shayari Shayari