dard dil mein na aankhon mein paani rahe | दर्द दिल में न आँखों में पानी रहे

  - Vikas Joshi Wahid

dard dil mein na aankhon mein paani rahe
apne chehre pe bas shaadmaani rahe

guftugoo mein girun na main mea'ar se
mera lihaaz yoonhi khaandaani rahe

chat pe aaye parinde ki khaatir sada
ek mitti ke bartan mein paani rahe

mujh ko rakha gaya ghar ke kone mein yun
cheez jaise koi bhi puraani rahe

raabta yun rahe aakhiri saans tak
jab bhi bichhden to aankhon mein paani rahe

zakham aaye tujhe to mujhe dard ho
yun lahu mein hamaari rawaani rahe

manzilen na miliin to koi gham nahin
hausla to magar aasmaani rahe

दर्द दिल में न आँखों में पानी रहे
अपने चेहरे पे बस शादमानी रहे

गुफ़्तुगू में गिरूँ न मैं मेआ'र से
मेरा लिहाज़ यूँही ख़ानदानी रहे

छत पे आए परिंदे की ख़ातिर सदा
एक मिट्टी के बर्तन में पानी रहे

मुझ को रक्खा गया घर के कोने में यूँ
चीज़ जैसे कोई भी पुरानी रहे

राब्ता यूँ रहे आख़िरी साँस तक
जब भी बिछ्ड़ें तो आँखों में पानी रहे

ज़ख़्म आए तुझे तो मुझे दर्द हो
यूँ लहू में हमारी रवानी रहे

मंज़िलें न मिलीं तो कोई ग़म नहीं
हौसला तो मगर आसमानी रहे

  - Vikas Joshi Wahid

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Joshi Wahid

As you were reading Shayari by Vikas Joshi Wahid

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Joshi Wahid

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari