saath tera agar nahin hota | साथ तेरा अगर नहीं होता

  - Vikas Joshi Wahid

saath tera agar nahin hota
ham se itna safar nahin hota

dhoop hai raah mein usoolon ki
is mein koi shajar nahin hota

log kya kya khareed lete hain
bas humeen se guzar nahin hota

saamna zindagi se karne ka
har kisi mein hunar nahin hota

ab to aadi se ho gaye hain ham
haadson ka asar nahin hota

dil yun lagte qareeb hain lekin
raasta mukhtasar nahin hota

gar wafa hi mili jo hoti to
aadmi dar-b-dar nahin hota

साथ तेरा अगर नहीं होता
हम से इतना सफ़र नहीं होता

धूप है राह में उसूलों की
इस में कोई शजर नहीं होता

लोग क्या क्या ख़रीद लेते हैं
बस हमीं से गुज़र नहीं होता

सामना ज़िंदगी से करने का
हर किसी में हुनर नहीं होता

अब तो आदी से हो गए हैं हम
हादसों का असर नहीं होता

दिल यूँ लगते क़रीब हैं लेकिन
रास्ता मुख़्तसर नहीं होता

गर वफ़ा ही मिली जो होती तो
आदमी दर-ब-दर नहीं होता

  - Vikas Joshi Wahid

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Joshi Wahid

As you were reading Shayari by Vikas Joshi Wahid

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Joshi Wahid

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari