dariya tha mauj gham thi safeena koi na tha | दरिया था मौज ग़म थी सफ़ीना कोई न था

  - Wafa Naqvi

dariya tha mauj gham thi safeena koi na tha
tareek raaste the ujaala koi na tha

phir bhi tumhaare shehar ne rakha mera khayal
haalaanki mera chaahne waala koi na tha

palkon pe sab ki bojh hai ik ehtiyaat ka
kal raat mere gaav mein soya koi na tha

sab log chal rahe the sadak par mila ke haath
dekha jo ghaur se to kisi ka koi na tha

mayus kar diya tha kisi ke fareb ne
bujhti hui nigaah mein chehra koi na tha

andar se ho chuke the bahut muzmahil se log
baahar se dekhne ko to toota koi na tha

dastak hui thi pehle si mere makaan mein
baahar nikal ke aaj bhi dekha koi na tha

दरिया था मौज ग़म थी सफ़ीना कोई न था
तारीक रास्ते थे उजाला कोई न था

फिर भी तुम्हारे शहर ने रक्खा मिरा ख़याल
हालाँकि मेरा चाहने वाला कोई न था

पलकों पे सब की बोझ है इक एहतियात का
कल रात मेरे गाँव में सोया कोई न था

सब लोग चल रहे थे सड़क पर मिला के हाथ
देखा जो ग़ौर से तो किसी का कोई न था

मायूस कर दिया था किसी के फ़रेब ने
बुझती हुई निगाह में चेहरा कोई न था

अंदर से हो चुके थे बहुत मुज़्महिल से लोग
बाहर से देखने को तो टूटा कोई न था

दस्तक हुई थी पहले सी मेरे मकान में
बाहर निकल के आज भी देखा कोई न था

  - Wafa Naqvi

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wafa Naqvi

As you were reading Shayari by Wafa Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Wafa Naqvi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari